Skip to main content

Posts

Showing posts from 2016

Marne K Baad Kya Hota Hai Maut K Baad Kya Hota Hai Islam Mein Marne Ke Baad Ki Zindagi Life After Death In Islam In Urdu

Marnay K Baad Kya Hota Hai Marne Ke Baad Kya Hota Hai Mout Ke Baad Kya Hota Hai Life After Death According To Islam مرنے کے بعد کیا ہوگا؟ موت کے بعد کی زندگی؟؟ Insan ki zindagi bahut choti si hai ye zindagi jo hum duniya mein guzar rahe hain akhirat ke muqablay mein bahut thodi hai kyun ki marne ke baad wali zindagi na khatam hone wali hai aur uski lazzat aur enjoyment hamesha ke liye hogi. Jab koi bhi insan mar jata hai aur qabar mein dafna diya jata hai to us se hisaab hota hai farishte uss say sawal puchte hain is waqt jitne bhi log qabristan mein pade hue hain ye sab qayamat wale din utha liye jayenge aur jo log naik hain unko qabar ka azaab nahin hota aur aise log pur sakoon waqt guzarte hain aur dusri taraf jo log bure thy sari zindagi gunahon mein guzar di jab wo mar jate hain aur qabar mein daal diye jate hain to unko qabar ka azab hota hai unki qabar k andar saanp aur bicho aate hain aur jab tak qayamat nahin aaye gi iss ko azaab hota rahe ga.