Skip to main content

Marne K Baad Kya Hota Hai Maut K Baad Kya Hota Hai Islam Mein Marne Ke Baad Ki Zindagi Life After Death In Islam In Urdu

Marnay K Baad Kya Hota Hai Marne Ke Baad Kya Hota Hai Mout Ke Baad Kya Hota Hai

Life After Death According To Islam

مرنے کے بعد کیا ہوگا؟ موت کے بعد کی زندگی؟؟




Insan ki zindagi bahut choti si hai ye zindagi jo hum duniya mein guzar rahe hain akhirat ke muqablay mein bahut thodi hai kyun ki marne ke baad wali zindagi na khatam hone wali hai aur uski lazzat aur enjoyment hamesha ke liye hogi. Jab koi bhi insan mar jata hai aur qabar mein dafna diya jata hai to us se hisaab hota hai farishte uss say sawal puchte hain is waqt jitne bhi log qabristan mein pade hue hain ye sab qayamat wale din utha liye jayenge aur jo log naik hain unko qabar ka azaab nahin hota aur aise log pur sakoon waqt guzarte hain aur dusri taraf jo log bure thy sari zindagi gunahon mein guzar di jab wo mar jate hain aur qabar mein daal diye jate hain to unko qabar ka azab hota hai unki qabar k andar saanp aur bicho aate hain aur jab tak qayamat nahin aaye gi iss ko azaab hota rahe ga.



Akhirat mein Insan ko wo sab kuch milega jis ki usne duniya ki zindagi mein khwahishein ki thi lekin usay wo cheez na mil saki akhirat mein jab insano ke Jannat mein aur Dozakh mein jane ka faisla hoga pori duniya ko aik jaga par ikatha kiya jayega Allah Ta'ala sab insano ko aur sari kainat ko pori dunya ko dobara zinda kar denge jab sari duniya qabron mein majood hogi. Jin logon ne ye soch rakha hai k wo marne ke baad zinda nahin kiye jayenge to wo bahut badi galti mein hain aur apni dunya o akhirat barbad kar rahe hain kyun ki duniya ek imtihan ki jaga hai jahan par sab log ye exam dene aaye hain aur iska result Qayamat wale din dekh lenge. Allah Taa'ala farmate hain.

Life After Death Proof In Hindi 



Marne Ke Baad Ki Jindagi

Quran: Surah Al-Anaam Ayat No. 29 to 30


Aur kehte hain ke humari jo duniya ki zindagi hai bus yehi (zindagi) hai aur hum (marne ke bad) phir zinda nahi kiye jayenge aur kash tum uss waqt ko dekho jab ye apne parwardigar ke samne khade kiye jayenge aur wo farmaye ga kya ye dobara zinda hona barhaq nahin? to kahen ge kyun nahi parwardigar ki qasam bilkul barhaq hai Allah Taala farmaye ga ab kufar ke badle jo duniya mein karte thy azab ke mazay chakho.




Upar bayan ki gai ayaat ka matlab ye hai ke kafir jo log Allah ke kalam se aur isko manne se inkar karte hain wo yehi sochte hain k zindagi sirf ek bar milti hai iske bad hum zinda nahi kiye jayenge next ayat mein Allah Taala kafiron ko mukhatib karte hue bayan karte hain k tum logon ne khyaal kar rakha tha ke hum marne ke baad dobara zinda nahin kiye jayen ge? to phir munkir kafir log kahenge kyun nahin parwardigar ki qasam maut ke baad zinda hona haqeeqat hai aur ye barhaq hai sachai hai. To phir mera rab farmaye ga ab mohlat ka waqt guzar chuka jo kufar tumne duniya ki zindagi mein kiya tha uske badle azab ke mazay chakho.


Maut Ke Baad Ka Manzar Maut Ke Baad Ki Zindagi In Islam Mout Ke Baad Ki Zindagi


Maut Ke Baad Kya Hota Hai Islam




Dosto! marne ke baad jab hum qyamat ke din zinda uthaye jayenge hamare naam e amaal jo ke loh e mehfooz mein darj hain jis mein choti se choti neki aur bade se bada gunah bhi Karman Katibeen naam e amal likhne wale Farishton ne Allah ke hukam se likhe honge. Sab amal Allah Taa'ala ki bargah mein paish kiye jayenge aur jinka naam e amaal unke dayen yani right hand mein diya jaye ga wo (Pass) falah pane wale aur kamyab insan honge aur aise logon ko Jannat ata ki jaye gi aur Jannat ki har kisam ki sahulat aur lazzat ata ki jaye gi. Aur jin logon unka naam e amal bayen yani left hand mein diya jaye ga wo (Fail) nakaam log honge aur aise logon ko Dozakh ki bharakti hui Aag mein phenk diya jae ga aur wo hamesha iss mein jalte rahenge. Jo log is duniya mein Allah (SWT) aur Uske Rasool Hazrat Muhammad (PBUH) ke hukam ke mutabiq chale wo Jannat ke mustahiq honge aur jinhon ne Allah (SWT) aur Uske Rasool Hazrat Muhammad (PBUH) ke hukam ki khilaf warzi ki aur unke ehkamat ko na mana unsay inkari hua to aise logon ko sakht azaab diya jae ga. Dua hai k Allah Taala hum sab ko seedhe rasty par chalne ki taufeeq ata farmaye Aameen Summ Aameen.

Comments

  1. Replies
    1. you are Welcome riyaz vahida and thanks for your comment here :)

      Delete
  2. Thanks alot for ur true information

    ReplyDelete
    Replies
    1. You are Welcome Saad Malik keep in touch with me :)

      Delete
  3. Thanks , Allah apko aur iss duniya me jo jo musalmaan hai unko bi ye 5ch time ki namazi banade,shukriya.Allah Apka aur apke khaandan ko Kush rakhe aur har ek usme tarakkhi de , Ameen ,Subhanallah , Subhanallah,,,.....Khuda hafiz

    ReplyDelete
    Replies
    1. you are welcome Sk Osama bhai Aameen Summ Aameen Allah Taala apko bhi khush rakhe aap ke comment karne ka shukriya JazakAllah Khair :)

      Delete
  4. Plz plz mjhy bataye marnay k bdh jo log qabar mai hain hm rotay unky liye ya yad krty un ko pata lagta Kia????????

    ReplyDelete
    Replies
    1. Nahi woh to mar gai jab koi mar jata hai usko dunya ke logo ki kuch parwaha nhi hoti unko bas aik khoof hota hai ke qayamat ke fin mera kia hoga

      Delete
    2. Nahi woh to mar gai jab koi mar jata hai usko dunya ke logo ki kuch parwaha nhi hoti unko bas aik khoof hota hai ke qayamat ke fin mera kia hoga

      Delete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Dial Up Internet In Hindi What Is Dial Up Connection In Hindi

Dial Up Internet Connection Definition Dial Up Modem Meaning in Urdu Dial Up Modem Meaning In Urdu Dial-up internet access aam taur par sirf dial-up Internet kaha jata hai. Dial up internet Telephone line ke zariye se connecting karne ka slow tarika hai. Modem Computer aur Telephone line ke darmiyan connect hoti hai phir Modem Internet se connect hone ke liye ISP dial ka phone number dial karti hai. ISP ka dusri dial-up modems ke sath dial-up service provider hona zarori hai jo waiting par lagi hui dial-up calls ko accept kar sake is kisam ka Internet DSL se slow hota hai. Dial-up internet United States of America mein aam istemal nahi hota jab kay ho sakta hai kay har 10 logon mein sey 1 shakhs dial-up internet use karta ho. Puri duniya mein internet use karne ke liye dial-up modem ki jagah fast broadband ne le li hai. Agar aap ko meri ye post achi lagi hai to neeche thanks box par click kar dain aur iss informative post ko  Share  ke button par click...

Best Online Money Earning Websites In India Online Cash Kaise Kamaye Online Earning In Pakistan Without Investment In Urdu

India Aur Pakistan Mein Internet Say Paise Kamane Ka Sabse Asan Tarika Dekhen Internet Se Paise Kamane Ka Tarika In Pakistan In Urdu Net Pe Paise Kamane Ka Aasan Tarika 👇 Online Earning Membership Form